Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Tuesday, 6 February 2018
Friday, 2 February 2018
Monday, 29 January 2018
Jo tum mile - Shikha
Kabhi to khuda ne mere bare mai kuchh socha hoga jo tum mile,
Rab ne pyari muhobbat ki kahani banayi hogi tumse jo tum mile.
Suraj ki sunari kirno ne jo chhua muje to sang khilne lagi thi mai,
Us Samay ki baheti huyi dhara mai koi to baat hogi jo tum mile.
Chanda ne chandni ko jab aagosh mai liya to nikhrne lagi thi mai,
Dil ki dhak dhak karti huyi dhadkan mai koi baat hogi jo tum mile.
Kshitij pe milan hua jab aasma ka dharti se to savarne lagi thi mai,
Tere ye palko ke ishare mai koi to baat hogi jo shikha ko tum mile.
Kabhi to khuda ne mere bare mai kuchh socha hoga jo tum mile,
Rab ne pyari muhobbat ki kahani banayi hogi tumse jo tum mile.
Shikha
Tere mere beech ke ye pal - Shikha
Tere mere beech ke ye pal dhire dhire beet jayenge,
Kabhi inhe yaad karke khush honge to kabhi udas.
Na chaha maine kabhi kuchh bhi tere saath ke siva,
Par tumko humesha muj mai dikhi sirf or sirf galtiya.
Jab tak janoge tum hume shayad kahi der na ho jaaye,
Waqt ka ye Prahar kahi tumhe mujse alag na kar de.
Tere juthe pyar ke sahare jee rahi thi duniya mai,
Jab sacchai aayi samne to tutke bikhar gayi mai.
Nahi jaan paa rahi aaj bhi mai tuje aisa kyu hai,
Kami shayad muj mai hi hai tera kya kasoor hai.
Gujarish hai meri tujse khulke baat kiya karo mujse,
Shayad shikha vahi saathi ho jiski tumhe talash ho.
Shikha
Sunday, 28 January 2018
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun ka...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha