Tuesday, 8 March 2016

Aap kya aaye zindagi mai meri - Shikha


 
Aap kya aaye zindagi mai meri jeena sikha diya,
Rang meri ummid ke sare mere aanchal mai saja diya.
 
Dekar Itna pyar muje apne dil mai basa diya,
Hotho pe mere aapne pyari si hansi ko saja diya.
 
Tanha chal rahi thi zindagi ke is safar mai,
Aapne chahat se apni mere dil ko khush rahena sikha diya.
 
Khwabo ko mere jaise pankh lagake udna sikha diya,
Chahat ki roshni se aapne mere husn ko nikhar diya.
 
Aap kya aaye zindagi mai meri jeena sikha diya,
Rang meri ummid ke sare mere aanchal mai saja diya.
 
Shikha

Palke bhig gayi - Shikha


Palke bhig gayi aaj aapki yaado se,
Jaise aasman khud hi simat gaya khud mai,
Barish aaj aisi giri jamin pe,
Ki jaise chand bhi roya chandni ki yaado mai.
 
Shikha

Muhobbat mai kitna maza aa raha hai - ghazal


Dharti ko swarg banaye...


Masum dosti - Shikha


 
Masum dosti ka bas itna sa fasana hai,
Dosti hai jaan or jeene ka salika hai.
 
Shikha

Aap humare dil mai ho - Shikha



Chand-sitare aasman mai rahekar hi chamkte hai,
Badal aasman mai door rahekar hi barste hai,
Hum bhi na kitne pagal hai E sanam,
Aap humare dil mai ho or hum aapse milne ko tarste hai.
 
Shikha

Top 10 best songs of international woman's day


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...