Friday, 6 February 2015

Bhaktamar stotra - Shikha


Nagada sang dhol baje -Shikha


Vo bahot yaad aaya - Shikha

 
 
Aaj humara pyar bahot hi yaad aaya,
Saath mai bita hua vo waqt yaad aaya.
 
Humari hansi pe marmitnevala,
Aaj jab roye to vo bahot yaad aaya.
 
Jo humare durd ko apna samja karta tha,
Aaj jab vo durd hua to vo bahot yaad aaya.
 
Jo humari rooh mai phoolo ki mahek ki tarah raheta tha,
Aaj jab humari rooh tadap rahi to vo bahot yaad aaya.
 
Jo humari saanso mai basa hua karta tha,
Aaj jab saans li to vo bahot hi yaad aaya.
 
Shikha

Thursday, 5 February 2015

Humara Dildar -Shikha



Ek hi hai vo humara dildar jo humare bahot karib hai,
Dil ke itne karib hote huye bhi alag sa lagta hai.

Bahot dino se paigam nahi uska aaya hai,
Shayad kisi baat pe humari naraz vo lagta hai.

Kaise samjaye unko, kaise manaye unko,
Halat humari jab samjna vo hi nahi chahta hai.

Aankhe nam hai , dil mai tadap hai, ek ajib si halat hai,
pyar karti hai SHIKHA beinteha fir bhi kyo anjana sa raheta hai.

Shikha




Tuesday, 3 February 2015

Muddato se ek sapna - Shikha


Muddato se ek sapna zahen mai hai,
Kaho, kya ise pura karoge aap?

Bhul jao humare siwa sabkuch,
Kaho, kya aisa kar paoge aap?

Bas dil ki ek hi tammnna hai,
Ki zindgi bhar aapke saath yu hi rahe.

Kabhi bhi hume chhod na jana aap,
Kaho, kya aisa kar paoge aap?

Sirf aapke labo se sunne ko kuch,
Kai saalo se taras rahe hum hai,

Aaj vo baat kahete jao aap,
Kaho, kya aisa kar paoge aap?

Ummid humari sirf tu hi hai ab,
Kaho, kya is ummid pe khare utar paoge aap?

Ek baar kahe do aap ki tum sirf meri ho,
Kaho, kya aisa kahe paoge aap?

Shikha

Ajab prem ki ghazab kahani - Shikha


Hume hi paogi - Shikha



Jab bhi tu pyari si muskurayegi,
Teri hansi mai hume hi payegi.
Ye hargiz na samjna ki hum chale jayenge,
Pichhe mudke dekhogi to hume hi paogi.

Shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...