Wednesday, 21 January 2015

prabhu mangu tari paas - Shikha


Chhod aayi thi mai - shikha


CHHOD AAYI THI MAI....
Chhod aayi thi mai tera vo shaher,
soch ke ye ki bhul jaungi tuje mai.

Par itni door aakar bhi na bhul payi mai tuje,
Soch ke ye ki tadpaungi tuje mai.

Par tadapati rahi mai khud itni,
jaise shama jalti hai parvane ke liye.

Kash samja hota tune pyar ko mere,
Na aaj hum tum dono is halat me hote.

Jeete hai na chain se na mar sakte hai,
Kyoki Wada jo kiya hai maine tujse.

Nahi yaha vo pyari si bahare hai,
Nahi yaha vo pyari si chahat hai,
Nahi yaha vo baheti nadiya hai,
Nahi yaha vo nila aasmaan hai.

Ye sab kuch bhi nahi hai tumhare bina,
Tujse hi to judi sari muskan meri hai.

Ab aakhri gujarish hai meri tujse,
Bhul ja tu mujko ki mera bhulna aasan ho jaye.

Shikha....

Vo mera koi to nahi tha - Shikha


VO MERA KOI TO NAHI THA
Aankhe num thi or dil bhi durd se ro raha tha,
Na jane kyo Chhodkar muje vo chala hi gaya tha.

Saza bhi to milni thi jab Dil lagaya maine tha,
Mere beinteha pyar ko usne na kabhi jana tha.

Vo khud ko kabhi mere kabil na samajta tha,
Tabhi to yu muje tanha chhodkar chal diya tha.

Vo gaya to gaya is kadar na kabhi fir use dekha tha,
Aise jaise chand bhi kabhi badlo me chhipta tha.

kal ko vo ek anjani rah par yu achanak se mila tha,
Par mila bhi to jaise vo mera koi to nahi tha.

Pyar ki kahani ka ajib sa aant mere yaaro tha,
Jise maine apna mana vo mera koi to nahi tha.

Aankhe hans di thi par dil roya mera tha,
kyoki aaj vo mere saath nahi tha jise maine apna mana tha.

Shikha


Ye us ladki ke dil ki kahani hai jiski pyar ki kahani adhuri hi rahe jati hai.......or zindgi aage badh jati hai.

Chhithhi aayi hai -Shikha


Pyar ki khushboo - Shikha



Pyar tumse beinteha karte hum hai,
tere liye bekarar hum aaj bhi hai,
Nahi mitegi ye pyar ki khushboo,
Pyar mai tere marna aaj bhi Kabul hai.


Shikha


Ye shaam mastani - shikha


Muskurahat na khona - shikha



Zindgi se kabhi bhi kisi Baat pe naraz na hona,
Zindgi kaanto ki sej hai kabhi na aansu bahana
Kai mod aise aayenge Jaha khudko Tanha payega,
par kabhi bhi hotho par se muskurahat na khona.

Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...