Wednesday, 21 January 2015

Jain stavan - shikha


Mere hath Mai - shikha


Ye kaisi kasak hai - shikha





YE KAISI KASAK HAI
Ye kaisi kasak hai dil me jo satati raheti hai,
Na neend aati hai aankho me,
Na chain dil me humare hai, par
kaun si yaade hai jo dil ko jalati raheti hai.
Shikha

Usko jitna bhi chaha - shikha



USKO JITNA BHI CHAHA
Usko jitna bhi chaha bhulana par bhula na sake,
Uski yaado ko chaha chhupana par chhupa na sake,
Karni thi hume bahot si baate unse,
Usko jitna bhi chaha izhaar karna par izhaar na kar sake.

Shikha

Kyo Uski baate Hume - shikha



KYO USKI BAATE HUME.....
Kyo uski baate hume ek pyara sa ehesas dilati hai,
kyo har pal unse milne ki khwaish jagai jati hai,
kyo uski doori se dil me betabi jag jaya karti hai,
kyo usse milne ko bekarari badhti hi jati hai.
 
E Rab, aaj itni gujarish he meri,
Tu khayal rakhna mere dildar ka humesha,
Na ho vo udas ek bhi pal,
Rahe har pal hansi uske chahere par.
kyoki bhot hi pyara sa hai ye dildar mera.
 
Aaj dhundh rahi hu mai har jagah,
Ek cheeze meri kho gayi he kahi,
Kho gayi hai mere dildar ki hansi,
koi to bata de vo hai yahi kahi.
 
Jiske bhi paas hai mere dildar ki hansi,
Vo sirf itna bata de kyo chhini usne uski hansi.
Uski hansi se hi to chalti hai ye saanse meri,

Koi to lauta do vo uski pyari sweet si hansi.

Shikha

Aaje pan - shikha


Aaje pan ...
Aaje pan tamaro haath pakdi chalva mangu chhu,
Aaje pan tamari saathe mari pareshani ne share karva mangu chhu,
Tame beshaq mane chalta sikhdavyu chhe papa,
Pan aa sansar ni darek chhal thi hu ajani chhu.
Kayu tufan kyare mara jivan ma aavshe eni mane khabar nathi,
E pareshani ne hal karvama tamaro saath maangu chhu.
Aaje pan tamaro j haath pakdi hu aa sansar ma chalva mangu chhu.
Darek sabandh chhe matlabi aa duniya ma...
pan hu janu etlu ke mata pita no pyar asli aa duniya ma.
Sansar jeva sagar ma dubi na jav hu ethi tamara aashirwad mangu chhu.
Aaje pan maa-papa hu tamaro j haath pakdi chalva mangu chhu.
 
Shikha

Humari chahat - Shikha


Humari chahat ko kabhi bhi azmana nahi dost,
Humne vo jakham bhi khaye hai Jo kismat Mai nahi the.
 
Shikha

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...