Thursday, 15 January 2015

Dosti karte nahi - shikha



Todne ke liye hum dosti karte nahi,
Sapne ke liye hum dosti ko dav pe lagate nahi,
Agar aitbaar na hota teri dosti par Hume,
To aapko kabhi humari dost hum banate nahi.

Shikha

Pyar ka izehar - shikha



Aaj fir se dil ne tumse pyar ka izhar karna chaha hai,
Aaj fir se dil ne kch sapne sajaye hai,
Saath tere rahena aakhri saaso tak hume hai,
Aaj fir se dil ne bhari mahefil mai ye kahena chaha hai.


Shikha

Vo pyare se pal - shikha



Ek saal baad fir se valentine day aa raha hai,
Fir se un yaado ko bhi sath la raha hai
Jin pyare se pal ko humne pichhe chhod diya tha,
Vo pyare se pal fir se vapas aa raha hai.


Shikha

Kuch nasha - shikha



Kuchh nasha Tirange ki aaan ka hain,
Kuch nasha Matrbhumi ki shaan ka hai
Hum lahrayenge har jagah ye Tiranga
Nasha ye Hindustan ki shaan ka hain..!!
Unknown

Wednesday, 14 January 2015

Sahi kahete hai - shikha



Sahi kahete hai log ki pyar ek aag ka dariya hai,
jo manzil paa leta hai vo paar kar jata hai,
or jo manzil nahi paa sakta vo us dariya me dub jata hai.


Shikha

Dil agar - shikha



Dil agar vapas Dena hota unhe to fir lete hi kyo.
Pyar mai agar tutta hai dil fir bhi pyar karte hai kyo.

Shikha

Jaan - shikha



Jaan


Aapki baato se dil ko sukun mil jata hai, fir

Yu jaan jaan kahekar dil ko tadpaye jate ho.

Subah uthte hi aapka chahera nazar aata hai,

Yu raato ko khwabo Mai aakar nind uda le jate ho.

Aapki muskurahat se dil khush ho jata hai,

Yu fir yaado mai aankho se ashq Baha dete ho.

Shikha






Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...