Tuesday, 23 December 2014

Samaj nahi aati - shikha



Meri kisi bhi baat mai tumko
khas baat nazar nahi aati.
Khabar hai tuje sare aalam ki
par mere dil ki halat  samaj nahi aati.
Mera har lamha gujrata hai teri hi fikar mai
Par tuje meri ye fikar ki rah samaj nahi aati.
Mera har lamha dua karta hai teri khushi ki
Par na jane kyo tuje meri ye baat samaj nahi aati.
Mana ki mai tuj jaisi kabil nahi hu,
Par pyar karti hu beinteha ye baat tuje samaj nahi aati.
Mana ki galtiya mujse bhi hoti hogi,
Par us galtiyo ko nazar andaz karne ki baat samaj nahi aati.
Kyo har pal meri kamiya dikhti hai tuje,
Koi khas baat meri bhi hai jo tuje nazar nahi aati.

Shikha

E mere humrahi - shikha



E mere humrahi..
Agar aap dil ki sunoge to har hi jaoge,
Hum jaisa yar fir kaha se paoge.
Pyar mai jaan dene ki baat to har koi karta hai,
Zindgi ko rangin bananevala kaha se laoge.
Ek baar aankho mai zankkar dekh lo hume,
Vada hai ki har taraf hume hi aap paoge.
Yakin hai apne pyar pe itna muje,
Ek bar aankho mai dub jao meri to laut aaoge.
Agar meri yaado mai kabhi jo dub aap jaoge,
Na rahega bahar ka khyal or ro aap jaoge.

Shikha

Wadiya mera daman - shikha


Paya tumhe - shikha



Paya tumhe .......

Paya tumhe to laga jaise kho hi diya,
Dil humpe roya or humne dil pe ro diya,
Kyo kismat ke faisle ne hume majboor kar diya,
Itne karib hote huye bhi hume door kar diya.
Shikha

Kabhi tum - shikha



KABHI TUM...
Kabhi tum mere dil ko jalane ki baate karte ho,
Kabhi tum mera gum chhinne ki baate karte ho.

Yaha hume khud ki hi khabar nahi he yaar,
Or aap ho ki sare jamane ki baate karte ho.

Sari zindgi tumne hume judai ka durd diya he yaar,
Or aap hume muskurane ki baate karte ho.

Jab zikra humara aaya aapki mahefil me,
To gusse se kaha kis Diwani ki baate karte ho.

Rahe judi he ab tujse humari ye to mante he,
Or tum humse nazre churane ki baate karte ho.

Shikha

Monday, 22 December 2014

Dedicated to my sweet mum - shikha



Ek chhoti si..pyari si gudiya he hum mum,
Aapki hi ungli tham ke chalte he hum mum.
Jab aap humari nazro se door hote he mum,
Tab aankho se aansu ka samunder baheta he.
Kahete the har waqt hum ye apne dil se mum,
Nahi jana he kabhi aapse bhot door mum.
Ek din aaya humara Rajkumar pardesh se,
Sang chale aaye uske hum kuch bhi soche bina.
Kahete to the humko pardesh nahi jana he kabhi mum,
Ab yaad humari aayegi to kaise rahe paoge mum.
Jab humari dusri bahene aayegi ghar pe milne aapko,
Aap intezar humara karte hi rahe jaoge mum.
Sabse baate humari karte nahi thakoge aap mum
Or aapki palke bhi aansuo se bhig jaya karegi mum.
Biti huyi yaado ke sahare hi ab to jina he hume mum,
Jaisa aapka haal he vaisa hi humara bhi haal he mum.
Kyo hum aapse itni door chale aaye he mum,
Nahi samaj paye aaj bhi ki pyar kyo itna bebas hota he mum.
Harroj humare sapno me aap hi aate ho mum,
Jab nind nahi aati kabhi aapki loriya yaad karte he mum.
Kitne barso tak khayal rakha he aapne humara mum,
Jivan ki in raho ko samjte he hum aapki hi baato se mum.
Hum aaj bhi aapke pyar ko dil me sanjoye muskurate he mum,
Par dil se aaj bhi vo hi masum si gudiya yaado me ashq bahati he mum.

Shikha
Ho sakta he isme itni lay nahi hogi...par aaj hum apni mum ko bhot hi jyada miss kar rahe he to unhe dedicate karke kuch likh diya he......ummid he aap sab inhe pasand karenge...kyoki ye humari feelings he jo humne aap sabse share ki he........

Aap aa jao - shikha




Aap Aa jao...
Aap aa jaao paas mere thodi si shararat kar le,
Simatkar aapki baaho mai thodi si muhobbat kar le.
 Aapki aankho mai humara hi Aks dekh le,
Fir aapse jaan se bhi jyada pyar kar le.
Humare paas ye sirf dil hi to hai jo aapke paas hai,
Aao fir se ek baar iski hifazat hum kar le.
Humare dil mai sirf or sirf aap hi base hai,
Chalo aaj milkar humare pyar ki ibadat kar le.
Shikha 

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...