Hello Friends, Read my shayari collection.....and i promise ..you will all enjoy my creativity! Shayari Shikha me aap sabka swagat hai...Is site ke liye sabse pahele hum humare Raj ka shukriya ada karte hai..jinhone hume encourage kiya...saath diya...or humara honsla badhaya ki ab bhi hum kuch likh sakte hai.... Readers.....Shayari humare jivan se aise judi hai jaise ki saanse...Jo baat hum shabdo se baya nahi kar paate...use hum shayari se bakhubi baya kar dete hai.
Saturday, 20 December 2014
Janam ...ye pyar hai
Janam, ye pyar hai..
Janam, ye pyar he,
Is pyar ko, humne khud hi,
Kho diya he, lekin ab kuch na kahena,
Jo hua so hua, muje jana hoga,
Mere janam, na puchho kuch or,
Taqdir ka likha ho juda,
Na badal payega use Pyar,
Hume jode huye the jo pal,
Hum dono ke thi vo sang,
Par yaro ke saye he dhere,
Is pyar ko, humne khud hi,
Kho diya he, lekin ab kuch na kahena,
Jo hua so hua, muje jana hoga,
Mere janam, na puchho kuch or,
Taqdir ka likha ho juda,
Na badal payega use Pyar,
Hume jode huye the jo pal,
Hum dono ke thi vo sang,
Par yaro ke saye he dhere,
muje charo...
Janam, sacchai se,
Janam, sacchai se,
hum door huye,
Muje bhul jao....
Muje bhul jao....
Shikha
Humne ek sapna dekha - shikha
Humne ek sapna dekha....
Humne ek sapna dekha tha,
Sapne me aapko apna mana tha.
Jab paheli bar dekha aapko dil khush hua tha,
Jaise koi soya hua armaan jag utha tha.
Rah dekhte rahe, tadpate rahe,
Kab aap hume apna banaoge,
Par ye humara intezar kabhi khatam hi nahi hua tha.
Kuch samay baad jaise sab kuch tut gaya tha,
Rangin duniya se bharosa jaise uth gaya tha.
Andhero me akele pakar bahot ro diya tha,
Fir subah uthakar khud ko sameta bhi tha.
Yahi zindgi hai shikha ye dil ne kaha tha,
Fir se apne aapko ek bar sanjoya bhi tha.
Shikha
Friday, 19 December 2014
Muhobbat ki dastan - shikha
MASUM SI MUHOBBAT
Ek masum si pyari si ladki thi,
Jo apni muhobbat me diwani thi,
har pal sabki khushiya chahti thi,
or apne me hi khoyi raheti thi.
Ek din aisa mod aaya uski zindgi me,
jiski use kabhi na chahat thi.
Ek aam sa ladka aaya uski zindgi me,
Vo anjani man hi man chahne lagi thi.
vo ladka bhi to usse pyar karne laga tha,
Uski masum si baato ne uska dil jo chura liya tha.
Par afsos usne kabhi na ikrar kiya tha.
Ladki bhot hi masum thi,vo tay nahi kar paa rahi thi.
In dono ke bich kuch bhi baate na hoti thi,
Or na hi mulakate kabhi hoti thi.
sirf kabhi anjani raho pe mil jaya karte the,
Fir bhi ajib si muhobbat dono ek dil me pal rahi thi.
Din bitte gaye, ladki intezaar karti hi rahi,
ladke en socha, itni pyari , masum si ladki,
us jaise insan se kaise muhobbat kar skti he.
or ladki sochti he shayad usne
kabhi usse pyar kiya hi nahi..........
dekhte hi dekhte din gujarte chale gaye,
Or ladki ki shadi tay kar di gayi.
Fir bhi ladki ko yakin tha apni muhobbat pe,
ki aayega vo or le jayega apne saath,
Par vo nahi aaya, kabhi nahi aaya.
Shadi ke mandap me baithne tak vo
pagal si ladki uska intezaar karti hi rahe gayi thi.
Such to ye he ki muhobbat karte the
dono ekdusre se beinteha,
Par apni muhobbat ka na kabhi ikrar kar sake.
Or zindgi jaise kuch or hi ho gayi,
Rahe badal gayi, saathi badal gaya.
Par pyar un dono ke dil me vaisa hi raha.
Shikha
Pyar se tere - shikha
Pyar se tere saji har shaam hai
Tere siwa ab kaha khushiya hai.
Gum ko jaise chhua tune mere
Har gum khushiyo mai tabdil hai.
Jo shaam kabhi andhero se thi ghiri,
Aaj vo hi shaam roshni se ujagar hai.
Pyar ke sahare kat jayegi ye umar
Pal pal jaise haath se fisal raha hai.
Tumse milne se pahele pata nahi tha
shikha ko
Zindgi itni pyari or suhani hoti hai.
Shikha
Subscribe to:
Posts (Atom)
Palko ko maine - Shikha
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai naina tere ...
-
dil hi to hai meraa, main isko manaaun kaise nasamajh hai yeh, main isko samjhaaun ka...
-
Sukhe patto ki tarah bikharati chali gayi thi mai, Tumne aag lagayi to jaana kaun apna kaun begana. Shikha