Monday, 24 November 2014

Hume pyar hai tumse - Shikha



Hume pyar hai tumse...
Tumhari nazro se chhupte hai ,
Tumhare paas aane se darte hai,
Bekarari badhti raheti hai,
kaise kahe ki hume pyar hai tumse.
Tumhari baate dil ko khush kar deti hai,
Tumhari hansi dil ko sukun de jati hai,
Tumhari har ada pe fida hai hum,
Fir bhi kaise kahe hum ki hume pyar hai tumse.
Tumhari vo masum si harkate,
Vo nadaniya jise nazarandaz hai hum karte,
Tumhare paas aati mushkilo ka rukh hai modte,
Fir bhi kaise kahe hum ki hume pyar hai tumse.
Shikha

Jab kuch sochte hai - Shikha



Jab kuch sochte hai....
 Jab kuch sochte hai to uski hi yaad aa jati hai,
 Jab baate karte hai khud se to uski baate hi yaad aa jati hai,
 Jab aankhe band karte hai to uski hi tasvir nazar aati hai,
 chhupau to kaise chhupau mai,
 Jab har waqt har andaz me teri hi Dosti nazar aati hai.
Shikha

Hum apne pyar ko - Shikha



Hum apne pyar ko...
Hum apne pyar ko khushiyo se sajayenge,
Saath rahekar nayi duniya basayenge,
Hum koi lamha nahi jo bit jaya karenge,
Jab bhi bulaoge aapke paas chale aayenge.
Shikha

Bina sapne ke bhi - Shikha



Bina sapne ke bhi koi .....
Bina sapne ke bhi koi so pata hai,
Bina manzil ke bhi koi manzil pata hai,
Aapki chahat to saanse hai humari,
Bina saanse ke bhi koi jee pata hai.
Shikha

Kaise jee rahe hai - Shikha



Kaise jee rahe hai hum.......
 
Kaise jee rahe hai hum nahi jante,
Kyo ab tak yaad karte hai nahi jante,
 
Maut to ek din sabko aani hai,
Aap kab aayenge hum nahi jante.
 
Chahte hai hum sirf tuje.....
 
Chahte hai hum sirf tuje ye sab jante hai,
Tu kab ye samjega ye hum nahi jante,
 
Har janam me mai sirf teri hi hu ye sab jante hai,
Tu kab hume apnayega ye hum nahi jante.

Hum nibhayenge wada - Shikha



Hum nibhayenge wada marte dum tak
 
Hum nibhayenge wada marte dum tak,
Hum haath thame rakhenge tera kinare tak,
E dilbar, kabhi na naraz hona humse,
Saath nibhana humara aap aakhri saanso tak.
 
Shikha

Zindgi - shikha



Zindgi kabhi hansati hai,
To kabhi rulati bhi hai.

Zindgi kabhi subah hai,
To kabhi shaam bhi hai.

Zindgi kabhi bahar hai,
To kabhi pankhar bhi hai.

Zindgi kabhi ek khas ko milati hai,
To kabhi unse hi juda bhi karti hai.

Zindgi ek aisi paheli hai,
Jise aaj tak koi nahi samaj paya hai.

Shikha
 

Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...