Thursday, 13 November 2014

Apni dost aaj bana hi le -shikha












Apni dost aaj bana hi le muje,
 Teri hi parchhai hu chura le muje,
 Ye zindgi ki rahe or bhi aasan ho jayegi,
 Tu mere paas aaja ya bula le tu muje.
Shikha

Aise to nahi ki-shikha

Aisa to nahi ki ......


Aisa to nahi ki koshish nahi ki,
maine kai baar koshish ki,
Tumse bahot hi door jane ki,
par milo door
chalne ke baad bhi,
jab pichhe mud kar,
dekhti hu to,*
Tum utne hi,
karib dikhte ho,
Aaj bhi ,
sochti hu tab,
mai kaun hu,
Kya astitav hai mera.

Tumhari hi,
yaado me,
aaj bhi ji,
Rahi hu mai.

Shikha 

Khwaish thi meri-shikha


 Khwaish thi meri......
 Khwaish thi meri ki mai bhi kabhi shayar banungi,
Par malum nahi tha ki kaise apni manzil ki or kadam badhaungi.

Dil ne jo kaha likh deti thi meri dayri me kabhi,
Par aaj vahi baat likhti hu yaha pe mai khush hokar.

Kabhi khushi se to kabhi gum se or yahi zindgi hai,
dil ke jazbaato ko likh deti hu mai yaha pe banake shayari.

Din gujre par himmat nahi hari maine,
Aakhir mere kadam ne paa hi li manzil apni.

Kuch aasan se alfazo se sajati hu mai shayari,
nahi hu mai shayar yaaro, fir bhi likhti hu mai shayari.

Shikha





Wednesday, 12 November 2014

Kabhi to ayega vo


Kabhi to aayega vo..
Kabhi to aayega vo samne mere,
Kabhi to apne haatho se vo sahelayega mere baalo ko,
Kabhi to aakar gale lag jayega vo mere,
Kabhi to apne labo se chhuyega vo mere labo ko.
 
Shikha

Tuesday, 11 November 2014

Aapki chahat Mai hum-shikha


Ek pyara sa chahera.......

Ek pyara sa chahera jo dil pe chha jata hai,
Vo jo humare dil pe hukumat karta hai,
Unki aankho se dekhte hai hum ye duniya sari,
Tabhi to har jagah sirf vo hi nazar aata hai.
Shikha


Monday, 10 November 2014

Na pahechan sake

Kitne masum the hum ki unke pyar ko na jaan sake
Jo mante the dost Hume unki dosti ko na pahechan sake.
Baato ko unki baate hi samajte rahe Gaye hum
Vo wafa nibhate the hum unki wafa ko na phechan sake.
Dosti ka izhaar vo na kar sake kabhi juba se apni
Hum kaise anjan the ki unki aankho ko na padh sake.
Badi muddat ke baad fir se vo hasin waqt aaya hai
Humne unke saath dosti ki mahefil sajayi hai.
Hotho pe unke hansi or aankho Mai roshni si chhayi hai
Vo Apni dastan humse share kar Jo paye hai.
Vo to hanste rahete the humesha zukakar nazar humse
Gunhegar to the hum jo unki dosti ko kabhi na pahechan sake.

Shikha


Palko ko maine - Shikha

Palko ko maine dhire se uthaya or dekha teri or, Janna chahti thi kya kahe rahe hai tere ye naina. Kaise ek pal mai  naina tere ...